Posted by: prince78601 on: July 6, 2009
Ye jo zindagi ki kitab hai
Ye kitab bhi kya kitab hai
Kahin ik hasen sa khwab hai
Kahin jaan lewa azab hai
Kahin chaon hai kahin dhoop hai
Kahin aur bhi koi rop hai
Kai chehre is mein chupe hue
Ik ajeb si ye naqab hai
Kahin kho diya kahin pa liya
Kahin ro liya kahin ga liya
Kahin chen leti hai her khushi
Kahin meharban be hisab hai
Kahin aansoOn ki hai dastan
Kahin muskurahaton ka bayan
Kahin barkaton ki hain barishein
Kahin tishnagi be hisab hai